Like Us On Facebook

Pakistan 10 Most Haunted Places

Pakistan 10 Most Haunted Places

Pakistan Ki 10 Pur Israr Jagahen Jinke Bare Mai Jaan Kar Hi Ronghte Khare Hojate Hain
Apne dunya bhar ke pur israr muqamaat ke bare mai sun rakha hoga lekin kya ap jante hain ke aise hi kuch muqamaat pakistan mai bhi hai

No. 1: CHILTAN (QUETTA)

Quetta ke qareb Waqiye is pahari silsile Ko Chiltan Kaha Jata Hai Chiltan Ka Matlab 40 Jism is jaga ke bare mai mash'hoor hai ke yahan in 40 bachon ki roohen bhatakti hain jinke walden ne inhe tanha marne keliye chor diya

No. 2 : MAKLI GRAVEYARD THATTA (SINDH)

Sobha e sindh ke shehar Thatta ke qareeb waqiya ye qabrustan apne andar kaayi dastaane chupaye howe hai ye dunya ka sab se bara qabrustan hai jahan qabren manzilon mai banayi gayi hain 13wen saddi ke is qabrustan mai 1 laakh se zyada qabren hain aur dafan hone wale logon mai elake sardaar naik log aur hukmaraan shamil hain lekin ab yahan kisi ko dafan nahi kiya jata

No. 3: SHEHAR E ROGHAN (BALOCHISTAN)

Balochistan mai waqiya is shehar ke bare mai mash'hoor hai ke yahan Jin ya Bad'roohen majod hain Kayi Shehzaadon ne isay in Jinaat Se Churane Ki koshish Ki lekin tamam nakaam howe lekin phir aik shehzade Saif ul malook ne isay in jinaat ke chungal se churaya lekin ab mash'hoor hai ke ye jin is elake ki pahariyun, gaaron aur nadiyun par hukomat karte hain aur yahan aane wale logon par hamla karte hain

No.4: MOHATTA PALACE (KARACHI)

Ye palace 1927 Mai banaya gaya tha aur kaha jata hai ke yahan bohat ajeeb harkatain dekhne ko milti hain kabhi palace ki roshniyan khud madham aur tez hojati hain aur kabhi ghair maanoos awazen aati hain

No. 5: MOHENJO DARO

2000 Saal purana Ye shehar apne andar kayi raaz samaite howe hai science ki tehqeeq ke mutabiq ye shehar thermal nuclear ke dhamake ki waja se tabah howa aur sciencedaan is baat pe heraan hain ke 2000 saal pehle kis tarah is elake ko atom dhamake ka ilm tha abhi tak is raaz se parda nahi uthaya ja saka

No. 6: KALABAGH

Apne kalabagh dam ke bare mai to bohat kuch parh rakha hoga kya apko maloom hai ke jis jaga dam ye dam banna tha wahan aaj bhi pur israr borhi aurat raaton ko pherti howi dikhayi deti hai jon logon ne burhi aurat ko dekha hai unka ye kehna hai ke ye chote qad aur lambe baalon wali burhi aurat raaton ko pherti nazar aati hai

No.7: KOH SULAIMAN (SULAIMAN MOUNTAIN)

Takh e Sulaimani Ki sab se buland chhoti koh sulaiman aur pashto riwayaat ke mutabiq ye HAZRAT SULAIMAN (AS) se mansoob hai

No.8: CHOKHANDI QABRUSTAN (KARACHI)

Ye qabrustan karachi se 29/KM mashriq mai waqiya hai jismai maazi ke badshah aur malkayen madfon hain is qabrustan ke baare mai mash'hoor hai ke jaise hi soraj gharoob hota hai yahan majood qabren jalne lagti hain aur bohat zyada garm hojati hain kuch logon ka kehna hai ke in qabron mai se cheekh o pukaar bhi sunayi deti hai

No.9: PIR CHATTAL NOORANI GANDHAWA (BALOCHISTAN)

Balochistan ke elake jhal magsi ke qareeb aik Nakhlistan abad hai aur iske pani mai 2 fet lambi machliyan payi jati hain aur agar inhe koi nuqsan pohanchane ki koshish kare to ye usay kaat kar moat ke ghaat utaar deti hain

No.10: SAIF UL MALOOK JHEEL

Kaha jata hai ke sadiyun pehle aik irani shehzada aur pariyun ki rani aik dosre ke ishq mai mubtila hogaye par kuch rohon ke ye pyar aik aankh na bhaya aur unho ne dono ko qatal kardiya aur tab se lekar ab tak har raat pariyan yahan aakar dono ashiqon ko yad karke roti hain

if you like please share








No comments:

Post a Comment