Chal pade hai hum jaane kin raaho me
na raaste ka pata hai na manzil
bas kuch yaadein hai jinke sahare hum chal rhe hai
kya pata kya hoga haasil
na koi jazbaat hai na koi ehsaas
nazre ghumaake dekho to koi nahi hota paas
bandh aankho se dikhte hai wo har jagah
par jab aankh khulti hai to sab dhundhla jata hai kuch is tarah
kya pata tha zindagi me aisa bhi ek waqt ayega
jo hoga itna mushkil
bas kuch yaadein hai jinke sahare hum chal rhe hai
kya pata kya hoga haasil
khudko samajhte the hum sabke azeez
jab hote the sab saath hamare
aaj dikhi apni auqaat
jab kar liye sabne humse kinaare
jis chehre pe hasi ke siwa kabhi kuch na aya
aj usi chehre pe hai maayusi ka saaya
chal pade hai hum jaane kin raaho me
na raaste ka pata hai na manzil
bas kuch yaadein hai jinke sahare hum chal rhe hai
kya pata kya hoga haasil.
No comments:
Post a Comment